Wednesday, June 13, 2018

*****M-A-N-Z-I-L*****






Mat ho ae musafir khudse ruswa
Wo manzil bhi teri aur tu bhi uska
Duur hai to kya hua
Duur hai to kya hua
Jaise premika se kuch der ke liye premi rootha

Dil chhota na kar agr abhi dikh nhi rhi
Hosla rkh abhi saansein thameen nahin
Aa jaegi wapis shaam hone tak, jaegi kahan ?
Aa jaegi wapis shaam hone tak, jaegi kahan ?
Jab tu hi raat aur tu hi din uska

Lgta hai kabhi kabhi kho si gyi
Mujhe chhod dusre ki ho si gyi
Hone do, jaldi samjh jaegi
Hone do, jaldi samjh jaegi
Berehem duniya bhi kuch kam nhi bewafa



Pahunchna to sabko ik din hai wahan
Fir kahe ki pareshani kahe ki saza
Muskurahat ka tohfa chehre pr rkhna hamesha
Muskurahat ka tohfa chehre pr rakhna hamesha
Kya pata kis din paye usko apne samne khada






No comments:

Post a Comment