Saturday, March 27, 2010

Love ---- It Really Exists and Can Happen More Than Once....

Signing In : Aman

Hlo frndzz,
         
                                                Today am goin to write about love -- jo har kisi ko life mein ek na ek baar to zarur hota hai , ya kuch logo ke according ye sirf ek hi baar hota hai ,  pr hota zarur hai....means LOVE truly exists.
                                                  Actually kain log hote hain jo love, pyar, ishq aur mohabbat jaise lafzon mein vishwaas nahi rakhte , iska sbse bada example tha main. Ya you heard it right , i said "tha" not "hun". Main ab tak yehi socha karta tha ki pyar ek course ki tarah hai , agar aap interested ho to admission le lo nahi to dusri stream mein chale jao. But jaise jaise life mature hoti jati hai aisa feel hone lagta hai ki shayad hum kahin na kahin galat the. Love is not optional , its compulsary. Aap karna chaho ya na karna chaho kabhi na kabhi ho hi jayega aur aapko pata bhi nahi chalega that you are attending the class of love.
                                                 
                                                          But wait a sec, Dont get me wrong here, main aisi baatein kar raha hun to iska matlab ye bilkul nahi hai ki mujhe pyar ho gaya hai, no wayzzz. Main ye isliye likh raha hun ki mujhe feel hone laga hai kisi ko bhi kahin bhi aur kabhi bhi ho sakta hai. Aur jab mujhe lag sakta hai aisa that means ye cheez really mein exist karti hai , kyuki mujhe kisi bhi cheez ke liye convince karna is really a tough job. Pehle main bhi sabhi ka mazak udaya karta tha ki pata nahi kaise ek unknown person ke liye munde ya kudiyan itne attached ho jate hain. Par kabhi kabhi aisa hota hai ki aap kisi aise person se milte hain jise aap achhe se na jante huye bhi unki care karte hain , unke sath jab jab hote hain ek achha insaan ban jate hain, waise aap honge achhe insaan isme koi shaqq nahi but what i mean is ki kuch buraiyan to sabhi mein hoti hain , nobody is perfect, but agar wo buraiyan bhi kisi person k sath reh kar khatam ho jaye chahe us waqt ke liye hi sahi, you feel yourself a perfect one aur wo feeling byaan kar pana thoda sa mushkil hai.
                                           
                                                  I heard so many people saying " pyar-vyar kuch nahi hota yaar, ye sab free bando ka time pass hai". Hmmm...that means jo log aisa bolte hain unhe bhi agar kuch waqt tak free kar diya jaye to koi guarantee nahi ki unhe pyar nahi hoga, aur agar time pass bhi hai to kya hua it means ye exist to karta hai na, aur waise bhi saari zindagi to insaan busy nahi rehta na yaar.  Kya pata aap 70 ki age mein free ho jao aur tab aapko pyar ho jaye, who knows.
                           
                               Mujhe ye to bleve ho gaya ki love exists but abhi tak ye clear nahi hua ki kya ye sirf ek hi baar hota hai. According to my present views  " main nahi manta ki pyar sirf ek baar hota hai , pyar kain baar ho sakta hai, kyuki jisko aap pasand karte ho wo agar aap ko chhod kar chali jaye ya chala jaye, aur uske baad koi waisa hi ya usse bhi achha person life mein aye to aapko dobara pyar ho sakta hai, u cn never deny this fact". And its damn true.                    

                 Iske peeche bhi ek reason hai, jab aap kisi ko like karte ho to aap apna daayra (circle) aur focus sirf us person tk hi simit (सिमित) kar lete ho. Us waqt aapke saamne koi usse bhi achha person aata hai to aap usse ignore kar dete ho, shayad tabhi kehte hain ki pyar andha hota hai, lol.... But jab aapka break up ho jata hai, jo ki ek usual si baat hai, tab aapko lagta hai ki saari duniya hi aisi dhokebaaz hai, rascal hai, buri hai, gndi hai, kamini hai etc etc. Aap sochne lagte hain ki saare boys/girls aise hi honge...But gimme a break, tumne koi ram ya sita ko nahi chuna ki jisse dhokha khakr tum saari duniya ko usse compare krne lag jao. May be you hav chosen the worst person on this planet aur fir us se ditch hone ke baad tum sabhi ko us jaisa samajhne lagte ho. Aur yahi wo point hai jahan par pyar shabd badnaam ho jata hai.  I mean come on " grow up". Agar hum kaafi time se kisi ke sath relation mein hain aur khush hain (ya the), aur fir hamara breakup ho jata hai that means ki humne ab tak ek dusre ko jana hi nahi ya pehchaan hi nahi paye. In simple words hum dono mein se koi ek fake tha ya hum dono hi fake the. Aur uske baad pyar shabd se nafrat karna really a childish thing. Means aapne apne liye coffee bnayi aur aap sugar dalna bhul gaye jab aapne taste kiya to aapka reaction tha "chiiii , kitni buri hai , i jus hate coffee, main aagey se kabhi isse muh nahi lagaungi/lagaunga". arey yar coffee mei sugar aapne nahi daali to taste to bura aana hi tha na isme life mein kabhi dobara coffee nahi peene waali to baat hi nahi. Agli baar jb banao to sugar achhe se dalna taaki jo galti pehli baar ki ab dobara na ho. Ya fir ye bhi ho sakta hai ki aap bade chaav se coffee bnate ho , proper sugar, proper powder, evrythin perfectly, pr jab aap taste karte ho to you really feel bad ki kitni buri bani hai, its bcoz coffee ka brand hi poor tha i.e. its not your mistake , u try your best from yourside but its the coffee thats of poor quality.Next time coffee ka brand zara dhyan se choose karna. I think you understand what i mean. Aur dusri coffee itni tasty bhi ho sakti hai ki aap pehli ka taste hamesha ke liye bhool jayein...Samjhe..
                        
                                          Aur maine ye bhi suna hai ki pehla pyar kabhi nahi bhulta , but main kehta hun ki jitni bhi baar pyar karoge kabhi nahi bhuloge. Its gurantee ki tum na sirf pyar bhula paate ho, even ki tumhare saare crushes , saari love in first sight stories, ye sab tumhare mind ki hard disk memory mein save ho jati hain which is non-volatile ofcourse. Ye feeling hi kuch aisi hoti hai ki tum chaho to bhi puri tarah se bhula nahi pate, haan waqt ke sath sath thodi dhundhali zarur ho jati hai.
                                
                                            So in my terms , love is like a virus jo kabhi bhi tumhe attack kar sakta hai aur hamesha k liye hang bhi kar sakta hai...Aur ye kisi ke bhi through enter kar sakta hai, friends ke through ya kisi unknown ke through. To Kb tak bachaoge apne aap ko isse , kabhi na kabhi to effected ho hi jaoge aur dukh ki baat to ye hai ki sabhi antivirus isse detect to kar lete hain par koi remove nahi kar paata...Be safe from LOVE.

         I can proudly say that presently i am safe, i am still not effected.......ARE  YOU...........????
                                                
          
Signing Out : The One

Buy a book on love from amazon.com :

Love Happens 
It Could Happen to You 
Love Never Dies 

Saturday, March 13, 2010

Save Tigers , Save World.....Be Humans.

Hi guys,
                Today as we all know that global warming is the major concern all over the world, but theres one more issue that cant be ignored at all...Yes, you are right, i am talking about tigers. Today theres only 1411 tigers left in india which is really a major issue threatning the ecosystem. As we know that we are the part of a life cycle including trees, insects, animals or in short a part of an ecosystem. If any one of this part got missin then the entire chain will break..And we know that broken chains never move on the cycles. Tiger is our national animal. And we are losing it day by day. 1411 is a negligible figure. We feel proud that the entire world knows us as tigers. And howll it feel when the next generation will ask "what was tiger, how did it look, Did they really exist". Thats really a shame for us, we cant save our national game, cant save our national animal and even cant save our identity. No, we are indians and we can do anything. So lets take a step towards this. Save tigers, save your identity and save the world.  
                                                                                                         
                                                                    Dont hunt them, Save them...
                                                                                            Be Humans..