Wednesday, March 15, 2017

Chalti Ka Naam Zindagi

Station par wait kr rha tha ki kab gaadi aegi aur kab safar shuru hoga. Gaadi kuch mins late hone ki annnouncement hui to fir platform par hi idhar udhar dekh Kar time pass krne lga. Kuch log aa rhe the kuch log ja rhe the aur kuch log meri hi tarah apni late gaadi ka intezar krte hue idhar udhar tehal rahe the. Thoda sa time beeta hi tha ki gaadi ke aane ki annnouncement ho gyi. Bass fir kya tha hath mein suitcase tight ho chuka tha jaise Olympics mein daudkar koi race jeetni ho. Gaadi samne se guzar rhi thi aur mera coach agey nikal gya gaadi ke sath sath main bhi agey badhne lga aur itne mein gaadi rukk gyi.
Fatafat se apni seat par baithkr settle hua aur khidki ka parda peeche kiya taaki bahar ka view dekh sakoon kaisa lg rha hai..
Station pr khadi gaadi ka view zyada achha to nahi tha kyunki dusri taraf bhi gaadiyan hi khadi thi par dheere dheere krke wo jab peeche ki aur guzarti nazar aane lgi to abhaas hua ki meri train chal pdi hai.
Ab agey ki aur badhti gaadi maano jaise apni manzil ke safar mein mera pehla kadam, dheere dheere aaspass ke logo par nazar ghumayi, koi laptop par vyast tha to kisi ki ungliyan mobile par daud rahi thi, koi family ke sath tha to koi sabse upper berth pr akela leta apni thakawat duur kr rha tha. Aisa lag raha tha jsise main naye pados Mein shift hua hoon aur ye sab mere padosi hon.
Pass wali family mein ek aadmi apne bachhe ko khila rha tha taaki uski biwi araam se rest kr sake, mujhe dekh kr muskurahat aa gyi us bachhe ke chehre pr  jaise wo bhi apne naye padosi ka abhiwadan kar rha ho. Safar shuru ho Chuka tha bahar ka nazara bhi ab bahut daarshniya tha .. doobte suraj ki laalima poore gagan ko laal, santri , firozi aur halki peeli line se maano swarg sa bhvya bna rhi thi aur usi akaash mein duur udte do panchhi aisa lg rha tha jaisa suraj ki aur badhte hue usi mein samaa  jaane ko udd rhe hain. Itne mein hi train ke Ander "chai chai" ki awaaz ne mera dhyan apni aur kheench liya.
"Aree Bhai chai kitne ki di ?", maine chai wale se poocha.
"Dus rupaye" , chai wala cup ko nikalte hue bola. Isse pehle ki main usse chai dene ko bolta wo cup mein chai daalkar meri aur badha chuka tha, shayad mere chehre ke bhaav wo pehle hi padh chuka tha.
Illaichi wali chai ki chuski bharte hi maano ek nayi mithaas si aa gyi zubaan aur zehen mein. Fir bahar ki aur nazar ghumayi to nazara badal chuka tha , duur duur tak khet hi khet ,itni hariyali ki maano poori prithvi hare rang ki chadar mein dhakk gyi ho. Aur un kheton ke beechon beech ek bahut bada aur Ghana sa peid aur us peid ke theek neeche ek ghar jo ki aisa lag tha tha maano is duniya mein sabse zyada sakoon usi ghar mein ho aur usi ghar ke pass tube well aisa lg rha tha ki maano isme dubki lagakar na sirf bahar ki tapish balki mann ka taap bhi nasht ho jae aur shareer andar se bahar tak aur sheetal ho jae... Abhi in sabka Maza le hi rha tha ki chai kab aakhri chuski par pahunch gyi pta hi nhi chala.
Itne mein hi pass ki berth par baithe bachhe se awaaz aayi ki bhookh lgi hai kuch khana hai. Jitna shor andar tha utni hi shanti bahar thi. Gaadi ki gati dheemi si hone lagi shayad koi station aa gya tha, gaadi ruki aur kuch log andar ghuse. Side wali berth khali thi to uspr aaker baith gae. Mera dhyan fir ekdum se bahar ki taraf gya , bahut bade aur ghane peidon ka jhund dikhai pada. Itne vishal peid the mano zameen se aasmaan ko chhuu rhe hon, aur itne ghane ki unme kho jane ka darr sa lgta. Kudrat ke nazare har baar alag aur anokhe hote hain kuch jannat se lgte hai to kuch darawane se prateek hote hain. Aur yahi zindagi bhi hai, kabhi hum bahar dekhte hain to har cheez khushnuma si lgti hai aur kabhi andar jhankte hain to shor sharaba sunai deta hai.
"Biscuit, chips , fruit cake le lo" , zor se jab ye awaaz mere kaano se takrayi to firse mera dhyan bahar ki taraf se hatkar andar ki taraf ghum gya.....
Bhookh to mujhe bhi lgi thi waise bhi safar thoda lamba tha to koi aur option bhi nhi tha.
"Lays dena ek ", maine lal wale Lays ke packet ki taraf ishara krte hue kaha jo ki pal bhar mein mere hath mein usne thama bhi diya tha.
"Kitne paise hue", maine packet par price khojte hue poocha.
"30 rupiye ka hai Saab" ,  usne bola.
"Aree ye to 20 rs ka print hai tum log mehnga kyun de rhe ho" maine bhi packet par price dhundh liya tha aur aashcharya mein tha ki print rate se uper ye kaise bech rhe hain.
Wo bhi apni tez chalti zubaan ko aur tez chalate hue bola "itne ka hi bikta hai Saab, lena ho lo nahi lena mat lo."
"Rehne do bhaiya nahi chahiye", main bhi zidd pkadte hue usse bola.
"To Saab aap 20 rupiye mein ye kurkure le lo", usne kurkure ka packet agey badhate hue bola.
"Aree nahi bhai main ye wala nahi khata, rehne do", maine fir mana kar diya.
Wo bhi muh sa bnakr chala gya. Zindagi bhi to aisi hi hoti hai jo cheez Hume chahiye kabhi kabhi hamare budget ya kismat se bahar hoti hai isliye wo chahkar bhi ya to milti nahi ya fir khud se hi chhodni padti hai ya fir kismat hume usse kam ka offer deti hai aur kehti hai ki isi se kaam chalao. Kabhi kabhi hum kismat ka diya thukra dete hain ya fir apna lete  hain. Kuch log apnakar bhi manzil tak nahi pahunch paate aur kuch log thukrakar bhi apni manzil paa hi lete hain
Gaadi fir dheemi honi shuru ho gyi thi, firse koi station aa gya. Is baar paas ki berth wale log utar gaye. Abhi jo jagah mere samne bhari thi wo khali ho gyi aur pichhle station jo jagah Khali thi wo Bhar chuki thi. Zindagi bhi to kuch aisi hi hoti hai kuch log aate hain hamari zindagi mein aur wo jab chale jate hain to apne peeche wo khali jagah chhod jaate hain aur kuch naye log aaker khali jagah ko bhar dete hain, zindagi ke safar mein bhi musafiron ka aana jana laga hi rehta hai.
Gaadi ne dheere dheere pakad badhani shuru ki, ek baar fir thoda rukk kar  gaadi firse Manzil ki aur daudni shuru ho gyi... Chehal pehal to pehle se hi thi ab naye logon mein bachelors zyada the to unki discussions se mahaul aur bhi shorgull wala ho chala tha, itne mein hi hulchul si badhi log uchhak uchhak kr agey ki seats par dekhne lage.
"Kya hua Bhai, kuch ho rha hai kya agey? Jo chehal pehal si badh gyi hai?", maine samne wali berth par baithe ladke se poocha.
"T.T aa rha hai , usi ki wajah se thodi hulchul hai",  usne bhi turant se jawab diya.
TT Bhai Saab ne do bndo ko pakad Kar rkha tha aur unke pass ticket na hone ki wajah se unko penalty daal rhe the. Aur wo dono bhi TT ko poore jee jor se patane ki koshish Kar rhe the ki kuch le deke setting karo. Aur finally imaandaari aur beimaaani ke muqabale mein jeet ofcourse beimaaani ki hui. TT Saab ne kuch paise apni jeb mein daale aur sab kuch aisa hi normal tha jaisa pehle. TT ka darr to sabhi ko hai par fir bhi log Bina ticket chadhne se baaz nahi aate kyunki pta hai le deke setting ho hi jaegi. Zindagi mein bhi to aisa hi kuch hota hai Jahan insaan ko bhagwaan ka darr to hai lekin fir bhi bure kaam karne se baaz nahi aate kyunki unhe lgta hai ki daan punya karke pooja path karke sab settle ho hi jaega, in short rishwat to God. Par kain to itne dheet hote hain ki rishwat dena bhi unke bass ka nahi.
TT ko maine bhi ticket dikhai aur fir apni ticket par nazar daudai. Sab kuch to mention tha kya source hai kya destination hai, kitne bje departure hoga aur kitne bje arrival hoga, kis route se guzregi wo bhi pta chala jata hai train number se. Ek ticket mere ek chhote se safar ka poora byora rkhti hai, aisi hi ek ticket sabki bhagwaan bhi banata hoga jisme kahan paida hona hai aur kahan marna hai mention hota hoga , zindagi hai hi kya bass yahi safar hai apni destination tak Pahunche ka jahan bhagwaan ne hamara time aur date likhi hai jeevan ka safar poora hone ki.
Jaise gaadi kuch station par dheemi hoti hai kuch par rukti hai waise hi zindagi bhi kabhi kabhi dheemi hoti hai aur kabhi kabhi thamm si jaati hai, par kyunki destination abhi nahi aayi to usne agey badhna hi hai aur wo firse apne aap agey badhna shuru krti hai aur firse wahi Gati prapt kr leti hai. Aur tab tak yuhi dheemi hoti thamti aur badhti hai jab tak aakhri station nahi aa jata.
Meri gaadi bhi firse dheemi pdne lgi dheere dheere thamm gyi kyunki mera station aa gya tha. Par mujhe ye bhi pta tha ki ye safar yahan khatam hua hai par agla safar ek Naya safar hoga ek nayi ticket ke sath , ek naye source ek naye destination ke sath , jisme Naya route hoga , naye nazare honge, naye musafir honge, naye stations honge aur ek nayi Manzil hogi.